Tuesday 2 October 2012

nA kar...........Na kaR (poem)


Na ker ye sab zeyba nae dayta,
Kyun zidi hai tu, harkatey chor kyun nae dayta,
Mulk badnaam hai, factoriya jal rahi hai,
Tu ab bi usi per ara hai, zehn per zor kyun nae dayta,

Khuda ko bhool chukay ho, Rasool (PBUH) ke izzat tau duur ki baat hai,
Apno ka aur nukassan na ker, aankhay khool kyun nahi dayta,

In aatish gardiyo sey kisi ka bhala nae hota,
Tareek gawa hai faida kisi ka nae, ye sab choor kyun nae dayta,

Musalman eik jism hai, dil na dukha kisi ka,
Kismet tayrey haath may nahi, kyun sachaye qabool nae kerlayta,

Eik baar kisi ka bhala tau ker,
Manzil asaan hai phir, maan kyun nae layta,

Us chaar diwari ka ehsaan tau ker zalim,
Jaha tanha hoga tu, maut ka manzar yaad kyun nae kerta,

Paisa, power aur fame, aati rehti hai,
Kirdaar sambhaal, parday khool kyun nae dayta,

Alfaaz aur kirdaar kay zakham ka andaza nahi tujhey,
Jeetayji na maar kisi ko, qismat sey khailna choor kyun nae dayta,

Bus jumlay khatum, hum khaak kay supurdh hogae ayazi,
Phr bi lafzo ka ilzaam humhe par aya, kay funkariyo sey dur kyun nahi rehtay,

No comments:

Post a Comment