Tuesday, 2 October 2012

Roka kisney HAI!!! (poem)


Haqeeqat ko pehchan dunya tayrey qadmo may hai,
Kisi aur ko khuda na maan dunya tayrey qadmo may hai,

Kyun phaylata hai haath kisi kay aagay,
Rab sey maang wohi daynay wala hai,

Apney aap ko eik nazar tau daikh,
Sara jaha tayrey qadmoo may aasakta hai,

Eik baar sachayee ka saamna tau ker,
Khud haqeeqat saamney aati hai,

Apni aukaat pehchan, aankhay khool,
Dunya qadam choomaygi, ye mujey yaqeen hai,

Qismat per roona choorday, tujh may who baat hai jo kisi may nae,
Eik baar apnay aap ko aazma, ashk kyun bahata hai,

Bharosa rakh, tu bi us cheez ka haqdaar hai,
Khuda kay siwa kissi aur ko kyun pujhta hai,

Juuti per rakh us zalim ko jo tujhey kehta hai nae hosakta,
Tu bi btaday ussey, tu kissi sey kum kaha hai,

Apnay jazbaat aur ana ko sambhal ayazi,
Sab kersaktey hai woh kaam jo qismat per nae rootey hai.

No comments:

Post a Comment