Na ker ye
sab zeyba nae dayta,
Kyun zidi
hai tu, harkatey chor kyun nae dayta,
Mulk badnaam hai, factoriya jal rahi
hai,
Tu ab bi usi per ara hai, zehn per zor kyun nae dayta,
Khuda ko
bhool chukay ho, Rasool (PBUH) ke izzat tau duur ki baat hai,
Apno ka aur nukassan na ker, aankhay khool kyun nahi dayta,
In aatish
gardiyo sey kisi ka bhala nae hota,
Tareek gawa hai faida kisi ka nae, ye sab choor kyun nae
dayta,
Musalman eik
jism hai, dil na dukha kisi ka,
Kismet tayrey haath may nahi, kyun sachaye qabool nae
kerlayta,
Eik baar
kisi ka bhala tau ker,
Manzil asaan hai phir, maan kyun nae layta,
Us chaar
diwari ka ehsaan tau ker zalim,
Jaha tanha hoga tu, maut ka manzar yaad kyun nae kerta,
Paisa, power
aur fame, aati rehti hai,
Kirdaar sambhaal, parday khool kyun nae dayta,
Alfaaz aur
kirdaar kay zakham ka andaza nahi tujhey,
Jeetayji na maar kisi ko, qismat sey khailna choor kyun nae
dayta,
Bus jumlay
khatum, hum khaak kay supurdh hogae ayazi,
Phr bi lafzo ka ilzaam humhe par aya, kay funkariyo sey dur
kyun nahi rehtay,
No comments:
Post a Comment