Haqeeqat ko
pehchan dunya tayrey qadmo may hai,
Kisi aur ko khuda na maan dunya tayrey qadmo may hai,
Kyun
phaylata hai haath kisi kay aagay,
Rab sey maang wohi daynay wala hai,
Apney aap ko
eik nazar tau daikh,
Sara jaha tayrey qadmoo may aasakta hai,
Eik baar
sachayee ka saamna tau ker,
Khud haqeeqat saamney aati hai,
Apni aukaat
pehchan, aankhay khool,
Dunya qadam choomaygi, ye mujey yaqeen hai,
Qismat per
roona choorday, tujh may who baat hai jo kisi may nae,
Eik baar apnay aap ko aazma, ashk kyun bahata hai,
Bharosa
rakh, tu bi us cheez ka haqdaar hai,
Khuda kay siwa kissi aur ko kyun pujhta hai,
Juuti per
rakh us zalim ko jo tujhey kehta hai nae hosakta,
Tu bi btaday ussey, tu kissi sey kum kaha hai,
Apnay
jazbaat aur ana ko sambhal ayazi,
Sab kersaktey hai woh kaam jo qismat per nae rootey hai.